Skip to main content

Megamouth shark (Megachasma pelagios)

Megamouth shark (Megachasma pelagios)

        Megamouth shark ek bohat hi badi aur durlabh shark hai. In sharks ko Indian Ocean, Pacific Ocean aur Atlantic Ocean me dekha gaya hai. Yeh shark 1210 kg tak bhari ho sakti hai. Megamouth shark un 3 badi shark Prajati (species) me se sabse choti hai jo apna khana pani se chhan kar khati hai, inhe filter feeding sharks kaha jata hai. In filter feeding sharks me sabse badi hoti hai Whale shark dusre number per hoti hai Basking shark or tisre number per hai Megamouth shark. Megamouth shark ko iska naam iske bade golakar jabde ke karan mila hai. Yeh shark lag bhag 16 feet tak lambi ho sakti hai, jab ki iska jabda 4 feet tak bada ho sakta hai. Megamouth shark 15000 feet ki gaharai me rahti hai. Isliye Megamouth shark ko apne prakrutic pariyavas yane natural habitat me kam hi dekha gaya hai.60-70 hi Megamouth shark aaj tak dekhi ya pakdi gayi hai.

Megamouth shark(Megachasma pelagios)

        Scientists yeh mante hai ki yeh sharks keval raat ke samay hi pani ki satah (surface) per aati hai jaise ki baki gaharaiyo me rahne wali machliya karti hai. Aur jada tar apna jivan andhakar me bitati hai. Yeh shark filter feeder hoti hai. Yane yeh apna khana pani se chhan kar khati hai. Jiske liye yeh apna bada golakar jabda khula rakh kar tairti hai, jisse pani me moujud shushm jiv jinhe planktons kaha jata hai shark ke muh ke andar pohach jate hai. Planktons megamouth shark ka aahar hai. Megamouth shark ke muh ke andar roshni paida karne wale ang hote hai jinhe photophores kaha jata hai. Yeh photophores roshni paida karte hai jisse planktons megamouth shark ke muh ki aur aakarshit (attract) hote hai.
        Pahali megamouth shark 1976 me tab pakdi gai thi jab wo shark galtise ship ke langar (anchor) me fas gai thi. Yeh ghatna Hawaii me hui thi. Tab se lekar ab tak kuch hi Megamouth shark pakdi gayi hai, jisme kuch Megamouth shark ke chote bacche bhi the. Per jaise jaise deep sea fishing operations badh rahe hai waise hi Megamouth shark ke pakde jane ki sambhawana bhi badh rahi hai.
        Megamouth shark me aantarik nishechan (internal fertilization) hota hai. Yeh kuch hi baccho ko janam dete hai, jo ki paidaish ke waqt hi kafi bade hote hai. Halaki Megamouth shark sidhe baccho ko (bina ande diye) janam deti hai, magar iske bacche apni ma se placenta se jude huye nhi rahte jaise ki insano ke bacche apni ma se jude huye hote hai. Aise me sharks ke baccho ko poshan (nourishment) ke liye apni ma ke unfertilized eggs yane aise ande jo nishechit na huye ho unper nirbhar rahna padta hai. In ando ko kha kar hi shark ke ajanme bacche apni ma ke kokh (womb) ke andar bade hote hai. Istarh shark ke bacche paidaishi shikari hote hai aur unhe pata hota hai ki shikar kaise hasil karna hai. Halaki megamouth shark ko khane ke liye pakda nhi jata, per jab yeh machli galtise pakad me aa jati hai to log is machli ko bhi khane ke liye bech dete hai. Megamouth shark itni durlabh hai ki inki jansankhya (population) ke bare me andaza lagana bohat mushkil hai.

Comments