Skip to main content

Largest snakes in the world. दुनिया के सबसे बड़े साप।

Largest snakes in the world. दुनिया के सबसे बड़े साप।

India me kai log saapo ki pooja karte hai to kai inse behadh jada darte bhi hai. Per aap mane ya na mane saap behadh hi dilchasp janwar hote hai. kisi hath ya paao ke bina bhi saap kafi achhe shikari hote hai. Kafi saapo k pass apni kuch khoobiya hoti hai, jinke balbute per saap duniya k har hisse me apna dera daal chuke hai. Keval Antarctica hi aisi jagah hai jaha koi bhi saap nhi paya jata. Aaj hum janne wale hai 2 aise saapo ke bareme jisme se ek duniya ka sabse lamba saap hai aur dusra duniya ka sabse bhari saap hai.

Reticulated Python

1. Reticulated Python (Malayopython reticulatus)

     Reticulated Python duniya ke sabse lambe saap hai. Inhe inka naam inke sharir per moujud hire jaisi aakrutiyo ke karan diya gaya hai. Reticulated Python 30-33 feet tak lambe ho sakte hai. Jab ki Indian Rock Python (Python molurus)  yane bhartiya ajgar sirf 18-21 feet tak hi lambe ho pate hai. Reticulated Python southern asia aur east indies me paye jate hai. Inka wajan 110-115 kg tak ho sakta hai. Sabse jada bhari Reticulated Python 158 kg ka record kiya gaya hai. Pythons apne shikar ka dum ghot kar use marte hai aur use pura hi nigal jate hai. In saapo ko hiran jitne bade shikar ko bhi khate huye dekha gaya hai. Reticulated Python me kisi bhi prakar ka vish/jahar nhi hota. Ye saap bina kuch khaye bhi mahino jivit rahe sakte hai.

Green Anaconda

2. Giant Green Anaconda (Eunectes murinus)

     Giant green anaconda duniya ke sabse bhari saap hote hai. Yeh saap lagbhag 250 kg tak  bhari ho sakte hai. Per inme dhyan dene wali baat yeh hai ki keval mada green anaconda (female green anaconda) hi itni bhari hoti hai. Nar green anaconda (male green anaconda) mada green anaconda se lambai or wajan me kafi kam hote hai. Female green anaconda ki lambai 25-30 feet tak ho sakti hai. Apne bhari wajan k karan yeh saap pani me rahna jada pasand karte hai. Yeh saap bhi python ki tarah apne shikar ka dum ghot kar use marte hai aur pura hi nigal jate hai. Giant Green Anaconda me bhi kisi prakar ka vish/jahar nhi hota hai, aur yeh saap bhi bina kuch khaye mahino tak jivit rahe sakte hai.

Titanoboa

Bonus fact

     Agar aap soch rahe hai ki Reticulated Python or Giant Green Anaconda se mahakay saap to ho hi nhi sakta to ap yeh jaan kar dang rah jaoge ki ab hum jis saap k bare me janne wale hai uske samne Reticulated Python aur Giant Green Anaconda jaise saap bhi kafi chote nazar aate hai. Pruthvi per karib 58-65 million saal pahle ek aisa saap paya jata tha jo 42-50 feet tak lamba aur 1135 kg (1.25 tons) tak bhari hota tha. Is saap ko naam diya gaya hai Titanoboa cerrejonensis. In saapo me bhi kisi prakar ke vish/jahar nhi hota tha. Aur ye saap bhi python aur anaconda ki tarah apne shikar ka dum ghot kar use marte the or pura nigal jate the.



Comments