Skip to main content

Corona virus (SARS-COV-2) & Covid-19.


                   

Corona virus 

      Corona virus ek bohat hi common virus hai jo aapke nak,sinus,gale aur fephado (lungs) ko infect karta hai.
   Corona virus koi naya virus nhi balki ek bohat purana virus hai,a pahala corona virus 1960s me paya gaya tha.corona virus Coronaviridae family se hai.Coronaviridae family me 7 trah ke corona virus hai jo insaano ko infect karte hai.                 

Types of human corona virus.   

1.HCOV-229E (Human corona virus-229E)
2.HCOV-OC43 (Human corona virus- OC43)
3.SARS-COV (Severe acute respiratory syndrome coronavirus)
4.HCOV-NL63 (Human coronavirus NL63)
5.HCOV-HKU1 (Human coronavirus HKU1)
6.MERS-COV (Middle East respiratory syndrome corona virus)
7.SARS-COV-2 (Severe acute respiratory syndrome coronavirus-2)
  Ye sare corona virus insaano ko bimar karte hai.is virus ki dikhawat kisi taj ki tarah hoti hai isliye ise corona virus naam diya gaya.   

COVID-19 ke laxan ( Symptoms of COVID-19) 

Fever (Bukhar)
Coughing (Khasi)
Shortness of breath (Saans lene me taqlif)
Fatigue (Thakan)
Chills, sometimes with shaking ( Thand aur sharir kapna)
Body aches (sharir dard)
Headache ( Sir dard)
Sore throat ( gale me kharash)
Diarrhea ( Atisaar)
Sath hi sath pneumonia k laxan bhi dekhe ja sakte hai.corona virus ki test ke bina aap corora ka pata nhi laga sakte.

COVID-19 Kaha se aaya?  

     Hala ki corona virus ek purana virus hai, per Dec 2019 me China k wuhan Hubei province jagah per corona virus ka ek naya roop dikhai dia, jise 2019 Noval corona virus ( 2019-NCOV) naam diya gaya or aage ja kar iska naam SARS-COV-2 rakha gaya jo ki 2002-2004 ke SARS-COV ka hi ek mutation hai. SARS-COV aur SARS-COV-2 me farak surface proteins ka hi hai.
     SARS-COV-2 ek single strand RNA(Ribonucleic acid)virus hai. Jiski satah per spikes yane kate hai. Ye kate aap ke cells ke cell receptor se ja kar chipak jate hai or virus cell ke andar dakhil ho jata hai. Yaha virus apni bohat sari copies banata hai or jab kisi cell me bohat sari copies ban jati hai virus ki tab virus us cell to nasht kar deta hai aur naye cell ko infect karta hai. Is tarah virus apni sankhya badhate jata hai.
    Ye mana ja raha hai ki SARS-COV-2 kisi dusre janwar se insaano me aaya hai jaise ki SARS-COV 2002-2004 Horse shoe bats se insaano me aaya tha.kyuki SARS-COV-2 ke surface proteins SARS-COV se alag hai isliye naye tike ( vaccine) ki zarurat hai.Moderna jo ki ek biotech company hai unhone ye dava kiya hai ki unhone pahala SARS-COV-2 ka tika (vaccine) bana liya hai. lekin abhi use insaano per test karne me samay hai.jisme 12 se 18 mahine ya usse bhi jada ka waqt lag sakta hai.

 Corona se kaise bache?   

    1.logo se duri banaye rakhiye.
    2.apne chahere,mu,aakh or nak ko na chhuye.
    3.ghar per hi rahe jab tak zaroori na ho bahar na jaye.
    4.khasi ya chhik aane per apne mu ko dhakna na bhoole.
    5.chizo ko saaf rakhiye disinfectant ka istamal kare.
    6.bahar jate samay mask pahanna na bhoole.
    7.bukhar, sardi, khasi hone per doctor se jald se jald mile.

Comments