Skip to main content

Biggest spider in the world Goliath birdeater. दुनिया की सबसे बड़ी मकड़ि गोलायथ बर्ड‌‌इटर।

Biggest spider in the world Goliath birdeater. दुनिया की सबसे बड़ी मकड़ि गोलायथ बर्ड‌‌इटर। 
Goliath birdeater(Theraphosa blondi)

      Goliath birdeater tarantula family ki aur puri duniya ki sabse badi makdi hai.  Goliath birdeater makdiyo ki duniya ka raja hai. Yeh makdiya South America,Suriname, Guyana, French Guiana,northern Brazil, Southern Venezuela aur Amazon ke varshavano me paye jate hai. Goliath birdeater 170 grams tak bhari ho sakti hai, aur inke pairo ka failav lag bhag 1 foot tak hota hai. Yeh makdiya puri tarah carnivorous yane ki mansahari hoti hai. Goliath birdeater ke khane me chote parinde (birds),mendhak (frogs), chuhe (mouse), kide (insects) aur yaha tak ki saap (snakes) bhi shamil hoye hai. Mada (female) Goliath birdeater 20 saal tak jivit rahe sakti hai jab ki nar (male) Goliath birdeater keval 3-6 saal tak jivit rahte hai. In makdiyo ke vish dant (fangs) 1 inch tak lambe hote hai, jo kisi hypodermic needle yene injection ki tarah khokle (hollow) hote hai. yeh vish dant vish granthi (venom gland) se jude huye hote hai jinme nervous system (tantrika tantra) ko na kaam karne wala vish hota hai, jise neurotoxin venom kahte hai. Yeh makdiya jab apne shikar ke ander apna vish dal deti hai tab yeh vish jisme pachak tatva (digestive enzyme) hote hai shikar ke andhuruni ango (internal organs) ko gala dete hai, aur unhe taral padarth (liquid) ke roop me badal dete hai. Is taral padarth ko Goliath birdeater apne shikar ke sharir se chus leti hai.


 Urticating hairs Goliath birdeater ka gupt hatiyar

     Goliath birdeater ki aakhen bohat kamjor hoto hai. Jis ke karan yeh makdiya apne pairo per maujud balo per nirbhar hoti hai, jo kampan (vibrations) ke prati samvedanshil (sensitive) hote hai. Yeh baal jab makdi k aas pas hone wale kampan ko mahsus karte hai tab makdi satark (alert) ho jati hai. Yahi nhi in balo ki rachna kisi bhale k tarah hoti hai aur in balo ko "Urticating hairs" kaha jata hai. Khatra hope per Goliath birdeater apne pairo ko aur pet (abdomen) ko aapas me ragadte hai jisse yeh baal kisi missile ki tarah hawa me ud jate hai.yeh baal shikari ke aakhon aur nak me jate hi tez khujli aur jalan paida karte hai jis k karan shikari bhag jata hai.
       Mada Goliath birdeater ek baar me 50-150 tak ande de sakti hai. In ando ko mada Goliath birdeater Urticating hairs se dhak deti hai taki shikari un ando se dur rahe. Goliath birdeater ka vish chote janwaro k liye to ghatak hai per insano k liye yeh ghatak nhi hota hai.


Comments